" मैं "
कभी ये सोंचता हूँ
की कौन हूँ " मैं "
खुद से पूछता हूँ
की क्या हूँ " मैं "
ये जिस्म
या रूह हूँ
"मैं "
सबसे पूछता हूँ
की कौन हूँ
"मैं "
किसी का बेटा
किसी का भतीजा
किसी का भांजा
किसी का भाई
किसी का देवर
किसी का नवासा
इन रिश्तों मैं उलझा
खुद से पूछता हूँ
किसका कितना हूँ
" मैं "
जितना सोचता हूँ
उलझ जाता हूँ
" मैं "
वक्त का खिलौना
या ख्वाब का पिटारा ,
एक कठपुतली
या सांस लेता एक ढांचा
अस्थियौं की ईमारत
या खून का बोतल ,
नसों की गांठ
या सांसों की चिमनी ,
या कुछ नहीं हूँ
" मैं "
फिर सोंचता हूँ
हमें क्यों गुमान होता है ?
किस बात का
गुमान होता है ?
इस शरीर का ?
जो इस मिटटी का है ,
या इस धरती का " क़र्ज़ "
जो एक दिन चुकाना होगा !
या इन सांसों का ?
जो है हवाओं का " क़र्ज़ "
फिर सोंचता हूँ
किससे पूछूं ? कहाँ खोजूं ?
ये ताकाश पूरी होगी की नहीं
ये सवाल पूरा होगा की नहीं
फिर
" मैं "
खामोश हो जाता हूँ
ढूंढ़ता हूँ
अपने ही अन्दर
अपने आपको
और
" मैं "
खो जाता हूँ .
--- अमित शंकर .
Sunday, August 1, 2010
Sunday, November 23, 2008
" main "
"main "
kabhi ye sonchata hun
ki kaun hun " main "
khud se puchhata hun
ki kya hun " main "
ye jism
ya ruh hun "main"
sabse puchhata hun
ki kaun hun "main"
kisi ka beta
kisi ka bhatija
kisi ka bhanja
kisi ka bhai
kisi ka dewar
kisi ka nawasa
In riston main uljha
khud se puchhata hun
kis ka kitna hun
" main "
jitna sochata hun
ulajh jata hun
" main "
wakt ka khilauna
ya khwab ka pitara ,
ek kathaputali
Ya saans leta ek dhancha
asthiyoun ki Imarat
Ya khun ka botal,
nason ki ganth
Ya sanson ki chimani,
Ya kuchh nahin hun
" main "
Phir sonchata hun
hamain kyon guman hota hai ?
kis baat ka
guman hota hai ?
Is sarir ka ?
jo is mitti ka hai,
Ya is dharti ka " karz "
Jo ek din chukana hoga!
Ya in sanson ka ?
Jo hai hawaon ka " karz "
phir sonchata hun
kisase puchhun?kahan khojun?
ye takash puri hogi ki nahi
ye sawal pura hoga ki nahi
phir
" main "
khamosh ho jata hun
dhundhta hun
apne hi andar
apne aapko
aur
" main "
kho jata hun.
--- amit shanker
kabhi ye sonchata hun
ki kaun hun " main "
khud se puchhata hun
ki kya hun " main "
ye jism
ya ruh hun "main"
sabse puchhata hun
ki kaun hun "main"
kisi ka beta
kisi ka bhatija
kisi ka bhanja
kisi ka bhai
kisi ka dewar
kisi ka nawasa
In riston main uljha
khud se puchhata hun
kis ka kitna hun
" main "
jitna sochata hun
ulajh jata hun
" main "
wakt ka khilauna
ya khwab ka pitara ,
ek kathaputali
Ya saans leta ek dhancha
asthiyoun ki Imarat
Ya khun ka botal,
nason ki ganth
Ya sanson ki chimani,
Ya kuchh nahin hun
" main "
Phir sonchata hun
hamain kyon guman hota hai ?
kis baat ka
guman hota hai ?
Is sarir ka ?
jo is mitti ka hai,
Ya is dharti ka " karz "
Jo ek din chukana hoga!
Ya in sanson ka ?
Jo hai hawaon ka " karz "
phir sonchata hun
kisase puchhun?kahan khojun?
ye takash puri hogi ki nahi
ye sawal pura hoga ki nahi
phir
" main "
khamosh ho jata hun
dhundhta hun
apne hi andar
apne aapko
aur
" main "
kho jata hun.
--- amit shanker
Subscribe to:
Comments (Atom)